tamām shahr kī ḳhātir chaman se aate haiñ
hamāre phuul kisī ke badan se aate haiñ
ham un laboñ se lagā kar raheñge lab apne
suḳhan tamām usī anjuman se aate haiñ
paḌā huuñ us ke badan ke bides meñ kab se
maiñ kyā paḌhūñ jo ye naame vatan se aate haiñ
ki jaise taptā tavā aur buuñd paanī kī
zamīñ pe ham bhī usī tarah chhan se aate haiñ
ham āp-bītī sunāte haiñ saada lafzoñ meñ
ye saare sher hameñ tark-e-fan se aate haiñ
zamāne-bhar se hai 'ehsās-jī' kī chaal alag
har ek bazm meñ vo bad-chalan se aate haiñ