Farhat Ehsas

kaam un aankhon ki hawasnaki ki sazish aa gai

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
kaam un āñkhoñ kī havasnākī kī sāzish aa ga.ī
āḳhir un parhez-gār āñkhoñ ko ḳhvāhish aa ga.ī
maiñ to samjhā thā ki ham donoñ akele haiñ magar
us ko chhūte hī hamāre beach ḳhvāhish aa ga.ī
ham bahut ḳhush the magar ik din hamāre darmiyāñ
kuchh alag se aur ḳhush hone kī koshish aa ga.ī
bādaloñ kī tarah Takrā.e the do jism aur phir
bijliyāñ kaḌkīñ aur us ke ba.ad bārish aa ga.ī
us se milne kī koī sūrat nikaltī hī na thī
aur tabhī dil ke alī-gaḌh kī numā.ish aa ga.ī
ham tasavvuf ke hue aalim tasavvuf chhoḌ kar
dil mohabbat se huā ḳhālī to dānish aa ga.ī
farhat-ehsās aur asmā ho ga.e ahl-e-nigāh
dekhte hī dekhte yūshī ko bīnish aa ga.ī
Top Urdushayar.com