Farhat Ehsas

rasta de ai hujum-e-shahr ghar jaenge hum

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
rāsta de ai hujūm-e-shahr ghar jā.eñge ham
aur tere darmiyāñ Thahre to mar jā.eñge ham
ḳhush-ḳhirām ā.ankhoñ meñ us kā aks utartā hī nahīñ
ab ke us ke paas le kar chashm-e-tar jā.eñge ham
vo nahīñ to dhuul hī mil jaa.e us ke paañv kī
us galī meñ ab ke ban kar rahguzar jā.eñge ham
shāyad us dahlīz par rakkhā ho ab bhī vo charāġh
vāpsī kī raah meñ phir us ke ghar jā.eñge ham
umr bhar paḌhte raheñge ik yahī aḳhbār-e-husn
aur saare sānehoñ se be-ḳhabar jā.eñge ham
jism kā kuuza hai apnā aur na ye dariyā-e-jāñ
jo lagā legā laboñ se us meñ bhar jā.eñge ham
ishq ne roz-e-azal hī kar diyā thā faisla
phir kahāñ duniyā ke kahne se sudhar jā.eñge ham
'farhat-ehsās' apne shāgirdoñ meñ shāmil kar hameñ
varna is duniyā se yūñhī ba-hunar jā.eñge ham
Top Urdushayar.com