tamām shahr kī āñkhoñ kā māhtāb huā
maiñ jab se us kī nigāhoñ meñ intiḳhāb huā
havā ke kāñdhoñ ne pahuñchāyā āsmānoñ tak
maiñ barg-e-sabz thā sūkhā to āftāb huā
palaT ke dekhūñ to mujh ko sazā.eñ detā hai
ajab sitāra rah-e-ġham meñ ham-rikāb huā
yuuñ qaus-e-chashm meñ aayā vo bārishoñ kī tarah
ki harf-e-dīd ka.ī rañgoñ kī kitāb huā
pighal ke aa ga.ī saarī udāsī lafzoñ meñ
vufūr-e-ġham mire ā.īne meñ habāb huā
maiñ apnī ḳhvāhisheñ gum kar ke mil gayā us ko
ḳhushā vo merī mohabbat meñ kāmyāb huā