Farhat Ehsas

kursi-e-dil pe tere jate hi dard aa baiThe

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
kursī-e-dil pe tire jaate hī dard aa baiThe
jaise ā.īna-e-be-kār pe gard aa baiThe
pahlī manzil pe hī Takrā ke gire duniyā se
paañv tuḌvā ke tamām ahl-e-navard aa baiThe
dāvat-e-dīd jo us qāmat-e-rañgīñ kī milī
bazm meñ ham bhī liye ye ruḳh-e-zard aa baiThe
aurteñ kaam pe niklī thiiñ badan ghar rakh kar
jism ḳhālī jo nazar aa.e to mard aa baiThe
shahr ik samt se jañgal sā nazar aane lagā
shahr ke dil meñ bhī kyā dasht-navard aa baiThe
'farhat-ehsās' kī ta.azīm meñ uTThā thā samāj
aur vo us kī jagah sūrat-e-fard aa baiThe
Top Urdushayar.com