sab lazzateñ visāl kī bekār karte ho
kyuuñ baar baar niiñd se bedār karte ho
achchhā to tum ko mashq-e-masīhā.ī karnī hai
itnā isī liye hameñ bīmār karte ho
saaya saroñ pe dhuup meñ karne kī baat thī
ye nek kaam kyuuñ pas-e-dīvār karte ho
kapḌe safed dekh ke bolā ye merā jism
kis jashn ke liye mujhe tayyār karte ho
va.ada to ye ki ghar meñ basā.eñge ham tumheñ
phir ham ko qaidī-e-dar-o-dīvār karte ho
hai ishq ke sivā bhī koī baat varna tum
kyuuñ baar baar ishq kā iz.hār karte ho
aisā hai kaun dil kā ḳharīdār jis pe tum
chhoTī sī is dukān ko bāzār karte ho
ham to tumhāre qabza-e-qudrat meñ haiñ to phir
itnā qarīb kyuuñ mirī sarkār karte ho
dildār dil se lag ke khaḌe hoñ to kis liye
duniyā kī oT se mirā dīdār karte ho
'ehsās' hī ne tum ko banāyā hai bādshāh
'ehsās' hī ko rāñda-e-darbār karte ho