chākarī meñ rah ke is duniyā kī mohmal ho ga.e the
ham tabhī to dekhte hī us ko pāgal ho ga.e the
jism se bāhar nikal aa.e the ham us kī sadā par
ek lamhe ko to saare mas.ale hal ho ga.e the
ishq maqnātīs par sab jamā the zarre hamāre
muntashir miTTī ke mansūbe mukammal ho ga.e the
mere har misre pe us ne vasl kā misra lagāyā
sab adhūre sher shab bhar meñ mukammal ho ga.e the
dar-ba-dar nākām phirtī thī siyah-baḳhtī hamārī
aur ham ghabrā ke un ā.ankhoñ meñ kājal ho ga.e the
maiñ makān-e-vasl meñ pahuñchā to vo ḳhālī paḌā thā
aur darvāze bhī bāhar se muqaffal ho ga.e the
gard uḌātī jā rahī thī tez-raftārī hamārī
ham-safar sab duur tak ā.ankhoñ se ojhal ho ga.e the
'farhat-ehsās' ek dam āshiq hue the jaane kis ke
dekhte hī dekhte ā.ankhoñ se ojhal ho ga.e the