musalsal ashk-bārī ho rahī hai
mirī miTTī bahārī ho rahī hai
diye kī ek lau aur taḳhta-e-shab
ajab sūrat-nigārī ho rahī hai
ye merā kuchh na honā darj kar lo
agar mardum-shumārī ho rahī hai
maiñ jugnū aur tū itnī baḌī raat
zarā sī chiiz bhārī ho rahī hai
bahut bhārī haiñ ab miTTī kī palkeñ
badan par niiñd taarī ho rahī hai
ye bāhar shor kaisā ho rahā hai
ye kaisī mārā-mārī ho rahī hai
zarā hāthoñ meñ mere haath denā
baḌī be-aḳhtyārī ho rahī hai
ham apne aap se bichhḌe hue haiñ
tabhī to itnī ḳhvārī ho rahī hai
vahī phir yak-qalam mansūḳh huuñ maiñ
kitāb-e-ishq jaarī ho rahī hai
kahāñ rakh aa.e vo sāda-libāsī
ye kyā goTā kanārī ho rahī hai
nahīñ hotī ye harjā.ī kisī kī
to kyuuñ duniyā hamārī ho rahī hai
sunāo sher apne 'farhat-ehsās'
ye shab kyā ḳhuub qaarī ho rahī hai