vo mahfileñ purānī afsāna ho rahī haiñ
is bazm meñ to sham.eñ parvāna ho rahī haiñ
shāyad ki maiñ bahut jald islām tark kar duuñ
bāteñ jo ek but se rozāna ho rahī haiñ
hai had-e-dil se aage raftār us ke ḳhuuñ kī
aur dhaḌkaneñ bhī ḳhud se begāna ho rahī haiñ
maiñ hans rahā huuñ sun kar baare meñ zindagī ke
kyā jism-o-jāñ meñ bāteñ bachkāna ho rahī haiñ
bāġh-e-badan meñ us ke be-rañg-o-bū rahe ham
ab ḳhvāhisheñ ba-taur-e-jurmāna ho rahī haiñ
pahle bhī ho rahī thiiñ par sirf shā.irī meñ
āñkheñ to ab kī sach-much mai-ḳhāna ho rahī haiñ
miTTī ke kaan meñ ye kyā kah diyā havā ne
sab ḳhvāhisheñ badan se begāna ho rahī haiñ
ik din jo 'farhat-ehsās' uTThā namāz paḌhne
dekhā ki masjideñ ḳhud but-ḳhāna ho rahī haiñ