Farhat Ehsas

auron ka sara kaam mujhe de diya gaya

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
auroñ kā saarā kaam mujhe de diyā gayā
aur merā kaam jaane kise de diyā gayā
mujh se kahā gayā ki utāro ab apne aks
ā.īna ik charāġh tale de diyā gayā
thī ye mirī sazā pe maze aa ga.e mire
ik ghar har ek ghar ke pare de diyā gayā
kāñToñ bharī jo raah thī yuuñ hī rakhī ga.ī
bas nuur ābloñ meñ mire de diyā gayā
ta.abīr jis kī aisā hī ek aur ḳhvāb ho
ik aur ḳhvāb roz mujhe de diyā gayā
da.avā kisī kā din ke ujāloñ pe ab nahīñ
jo kuchh bhī thā vo raat ga.e de diyā gayā
'ehsās-jī' vahīñ the magar kuchh na pā sake
sab kuchh unheñ jo aa.e na the de diyā gayā
Top Urdushayar.com