jhagḌe ḳhudā se ho ga.e ahd-e-shabāb meñ
tab se gire paḌe haiñ jahān-e-ḳharāb meñ
kab kā vo jā chukā thā khulī aañkh jab mirī
maiñ us ko dekhtā hī rahā jaise ḳhvāb meñ
rañgīni-e-libās kā jamm-e-ġhafīr hai
shāyad ki maiñ na aa.uuñ tire intiḳhāb meñ
mujh par zakāt husn-e-suḳhan kī huī hai farz
shāmil huā huuñ sher ke ahl-e-nisāb meñ
uTTho ki ā.īna bhī kahīñ kā kahīñ gayā
rah jāoge yahīñ jo rahoge hijāb meñ
shāyad qalam davāt kī fursat na ho use
mere hī ḳhat ko bhej diyā hai javāb meñ
chhup-chhup ke dekhtā thā taġhāful kī aaḌ meñ
us ne barat liyā hai mujhe ijtināb meñ
vo sham-e-intizār kī lau kar gayā mujhe
maiñ raushni-e-taba.a se huuñ pech-o-tāb meñ
aa.iiñ havā.eñ duur se bāġh-e-bahisht kī
ḳhushbū bhī aa.ī der se kār-e-savāb meñ
ā.īna-e-nigāh meñ ta.alīm aur thī
bar-aks ho gayā jo likhā thā kitāb meñ
maiñ rahne vaalā shaam o sahar ke pare kā huuñ
Daalā gayā huuñ shaam o sahar ke hisāb meñ
is be-hisī ke biich meñ 'ehsās' kī ġhazal
dekho to ye sukūt suḳhan ke javāb meñ