yūñhī umr-bhar tire rañg-o-bū se mire lahū kī vafā rahe
maiñ charāġh ban ke jalā karūñ to gulāb ban ke khilā rahe
vo zamīn ho ki ho āsmāñ ye diyā hamesha jalā rahe
maiñ kisī safar meñ rahūñ magar mire saath maañ kī duā rahe
mirī kamtarī kī bisāt hī tirī bartarī kī dalīl hai
maiñ nasheb meñ na rahūñ agar tū farāz terā dabā rahe
na.e zaḳhm haiñ na.ī koñpleñ abhī dil pe ġham kī bahār hai
ye duā karo ki ḳhizāñ meñ bhī ye daraḳht yūñhī harā rahe