dekho abhī lahū kī ik dhaar chal rahī hai
baazū kaTe haiñ phir bhī talvār chal rahī hai
tahzīb ne ye kaisā muḳhbir lagā rakhā hai
har lamha saath ghar kī dīvār chal rahī hai
kuchh to mirī udāsī hañgāma bhī kiyā kar
tū aaj saath mere bāzār chal rahī hai
tum saath ho to kaisā chipkā paḌā hai dariyā
aur ye havā bhī kaisī hamvār chal rahī hai
kar lo ayādat us kī tum bhī to 'farhat-ehsās'
duniyā bahut dinoñ se bīmār chal rahī hai