Farhat Ehsas

ye sare KHubsurat jism abhi mar jaane wale hain

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
ye saare ḳhūbsūrat jism abhī mar jaane vaale haiñ
magar ham ishq vaale bhī kahāñ baaz aane vaale haiñ
haqīqat kā hameñ kyā ilm sachchā.ī se kyā matlab
hamāre jitne bhī ma.ashūq haiñ afsāne vaale haiñ
hameñ masjid se kyā jhagḌā magar bas ek mushkil hai
ki us kī or ke sab rāste mai-ḳhāne vaale haiñ
nafī kī sālsī darkār hai jo faisla kar de
ki ham allāh-miyāñ vaale haiñ yā but-ḳhāne vaale haiñ
chalo gumrāhiyoñ kī ruī bhar lo apne kānoñ meñ
sunā hai shaiḳh-sāhab aaj kuchh farmāne vaale haiñ
tum apne jism kā ātish-kada kholo ki ham suufī
usī kī aag le kar ruuh ko garmāne vaale haiñ
agarche 'farhat-ehsās' apnā majnūñ shahr vaalā hai
par us ke ishq ke andāz sab vīrāne vaale haiñ
Top Urdushayar.com