ham na pyāse haiñ na paanī ke liye aa.e haiñ
tere hamrāh ravānī ke liye aa.e haiñ
ohda-e-ishq se barḳhāst ham is duniyā meñ
ḳhaak kī ḳhuld-makānī ke liye aa.e haiñ
mahfil-e-hāl meñ kal mazī-o-mustaqbil aa.e
aur kahā marsiya-ḳhvānī ke liye aa.e haiñ
qissa-go niiñd nahīñ aa.ī bahut din se hameñ
tire paas ek kahānī ke liye aa.e haiñ
zindagī chup na karā un ko ki bechāre ye jism
chand din charb-zabānī ke liye aa.e haiñ
'farhat-ehsās' ko ḳhāmosh na hone denā
ki miyāñ sidq-bayānī ke liye aa.e haiñ