Farhat Ehsas

sahib-e-ishq ab itni si to rahat mujhe de

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
sāhib-e-ishq ab itnī sī to rāhat mujhe de
ghar banā yā dar-o-dīvār se ruḳhsat mujhe de
jaan ye sarkashī-e-jism tire bas kī nahīñ
merī āġhosh meñ aa lā ye musībat mujhe de
to farāham na ho mujh ko ye hai marzī terī
tujh ko jab chāhūñ bulā luuñ ye ijāzat mujhe de
ye tirī bazm-e-badan yuuñ to nahīñ chal saktī
ek shab ko hī sahī is kī nizāmat mujhe de
ā.ine! maiñ tirā ā.īna-dar-ā.īna huuñ
aaj tak kā mirā sarmāya-e-hairat mujhe de
na milegā tujhe mujh sā bhī tahī-dast murīd
mere hisse kī jo ho daulat-e-bai.at mujhe de
jaane kab hogā mirī zaat pe āp-apnā nuzūl
ḳhvāb koī to kabhī merī bashārat mujhe de
mere bhī ek ishāre meñ ho ma.anī kā hujūm
aañkh us kī jo kabhī dars-e-balāġhat mujhe de
'farhat-ullāh' ke khāte meñ na Daal ā.īñe
'farhat-ehsās' huuñ maiñ lā mirī sūrat mujhe de
Top Urdushayar.com