Farhat Ehsas

rah ki kuchh to rukawaT yar kam kar dijiye

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
raah kī kuchh to rukāvaT yaar kam kar dījiye
aap apne ghar kī ik dīvār kam kar dījiye
aap kā āshiq bahut kamzor dil kā hai huzūr
dekhiye ye shiddat-e-inkār kam kar dījiye
maiñ bhī hoñToñ se kahūñgā kam kareñ jalne kā shauq
aap agar sargarmī-e-ruḳhsār kam kar dījiye
ek to sharm aap kī aur us pe takiya darmiyāñ
donoñ dīvāroñ meñ ik dīvār kam kar dījiye
aap to bas kholiye lab bosa dene ke liye
bosa dene par jo hai takrār kam kar dījiye
raat ke pahlū meñ phailā dījiye zulf-e-darāz
yūñhī kuchh tūl-e-sab-e-bīmār kam kar dījiye
yā idhar kuchh tez kar diije gharoñ kī raushnī
yā udhar kuchh raunaq-e-bāzār kam kar dījiye
vo jo pīchhe rah ga.e haiñ tez-raftārī kareñ
aap aage haiñ to kuchh raftār kam kar dījiye
haath meñ hai aap ke talvār kiije qatl-e-ām
haañ magar talvār kī kuchh dhaar kam kar dījiye
bas mohabbat bas mohabbat bas mohabbat jān-e-man
baaqī sab jazbāt kā iz.hār kam kar dījiye
shā.irī tanhā.ī kī raunaq hai mahfil kī nahīñ
'farhat-ehsās' apnā ye darbār kam kar dījiye
Top Urdushayar.com