kis salīqe se vo mujh meñ rāt-bhar rah kar gayā
shaam ko bistar sā kholā sub.h ko tah kar gayā
vaqt-e-ruḳhsat thā hamāre bāhar andar itnā shor
kuchh kahā thā us ne lekin jaane kyā kah kar gayā
qatl hote sab ne dekhā thā bhare bāzār meñ
ye na dekhā ḳhuuñ mirā kis kī taraf bah kar gayā
Dūbnā hī thā so Duubā chāñd us ke vasl kā
raat ko lekin hamesha kī shab muhayyā kar gayā
sirf miTTī ho ke rahne meñ tahaffuz hai yahāñ
jis ne koshish kī makāñ hone kī bas Dhah kar gayā
chaal jab bhī mil nahīñ paa.ī zamīñ kī chaal se
kaisā kaisā sar-buland aayā thā aur Dhah kar gayā
dukh kā ā.īna ulaT detā hai har 'ehsās' ko
ḳhush gayā itnā hī koī jitne dukh sah kar gayā