jism ke paar vo diyā sā hai
darmiyāñ ḳhaak kā añdherā hai
khil rahe haiñ gulāb hoñToñ par
aur ḳhvāboñ meñ us kā bosa hai
mere āġhosh meñ samā kar bhī
vo bahut hai to isti.āra hai
phir se un jū-e-shīr āñkhoñ ne
be-sutūñ jism ko girāyā hai
vo tumhārī harī-bharī āñkheñ
ret ko dekh leñ to sabza hai
bas tirā naam bol detā huuñ
aur hoñToñ ke paas dariyā hai
raushnī se bharā huā ik shaḳhs
shahr bhar ke diye jalātā hai
aañkh bhar dekh lo ye vīrāna
aaj kal meñ ye shahr hotā hai
ishq aḳhbār kab kā band huā
dil mirā āḳhirī shumāra hai