ḳhamosh jāda-e-inkār bhī hai sahrā bhī
azā meñ pā-e-junūñ baar bhī hai sahrā bhī
kahīñ bhī jaa.eñ lahū ko to sirf honā hai
ki tishna kūcha-e-dildār bhī hai sahrā bhī
matā-e-zīst ḳharīdeñ ki terī samt baḌheñ
hamāre sāmne bāzār bhī hai sahrā bhī
mujhe to saarī hadoñ se gurez karnā hai
mirā harīf to ghar-bār bhī hai sahrā bhī
yahīñ ye dhuul yahīñ ḳhushbueñ bhī uḌtī haiñ
ye dil ki ḳhitta-e-gulzār bhī hai sahrā bhī
na chhoḌtā hai na zanjīr kar ke rakhtā hai
tirā ḳhayāl ki dīvār bhī hai sahrā bhī
ye kyā jagah hai jahāñ donoñ vaqt milte haiñ
yahāñ daraḳht samar-bār bhī hai sahrā bhī
zarā sī chuuk se pāñsa palaT bhī saktā hai
ki aql shahr-e-fusūñ-kār bhī hai sahrā bhī