Farhat Ehsas

tanhai ke aab-e-rawan ke sahil par baiTha hun main

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
tanhā.ī ke āb-e-ravāñ ke sāhil par baiThā huuñ maiñ
lahreñ aatī jaatī rahtī haiñ dekhā kartā huuñ maiñ
kaun sā lafz adā hone kā pas-manzar hai merā vajūd
kis kā haul hai mere dil meñ kaisā sannāTā huuñ maiñ
hijr o visāl charāġh haiñ donoñ tanhā.ī ke tāqoñ meñ
akasr donoñ gul rahte haiñ aur jalā kartā huuñ maiñ
ḳhālī dar-o-dīvār kī ḳhushbū pāgal rakhtī hai mujh ko
jaane kahāñ vo phuul khilā hai jis kā māñ-jāyā huuñ maiñ
sab ye sochte haiñ 'farhat-ehsās' tamāshā hai koī
maiñ ye sochtā rahtā huuñ kis miTTī kā putlā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com