Farhat Ehsas

ahl-e-badan ko ishq hai bahar ki koi chiz

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
ahl-e-badan ko ishq hai bāhar kī koī chiiz
bāhar kise milī hai magar ghar kī koī chiiz
bāzār roz aa.egā jis ghar meñ be-dareġh
bāzār bhī to jā.egī us ghar kī koī chiiz
qatre kā e'timād bhī kuchh be-sabab nahīñ
qatre ke paas bhī hai samundar kī koī chiiz
aaj us ke lams-e-garm se jaise pighal ga.ī
mujh meñ dhaḌak rahī thī jo patthar kī koī chiiz
saarā hujūm hai kisī apnī talāsh kā
khoī ga.ī hai shahr meñ aksar kī koī chiiz
ye hai kisī visāl kī hasrat ki ḳhauf-e-hijr
chubhtī hai rāt-bhar mujhe bistar kī koī chiiz
'ehsās' shā.irī meñ ghulātā hai falsafa
har sher arz kartā hai jauhar kī koī chiiz
Top Urdushayar.com