Farhat Ehsas

hadd-e-badan mein meri zat aa nahin rahi hai

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
hadd-e-badan meñ merī zaat aa nahīñ rahī hai
bhāgī huī hai aisī haath aa nahīñ rahī hai
ik saath kar rahā huuñ itnī bahut sī bāteñ
hoñThoñ pe kahne vaalī baat aa nahīñ rahī hai
sūraj mirā paḌā hai āñkhoñ ke rāste meñ
din Dhal chukā hai kab kā raat aa nahīñ rahī hai
bāzār meñ ghirā huuñ aur shor ho rahā hai
merī samajh meñ koī baat aa nahīñ rahī hai
duniyā se baat kar ke bad-zāt ho gayā maiñ
ab mere ghar mirī hī zaat aa nahīñ rahī hai
jis raat farhat-ehsās apnī hadoñ se nikle
vo maañ kī kokh jaisī raat aa nahīñ rahī hai
Top Urdushayar.com