ye baaġh zinda rahe ye bahār zinda rahe
maiñ mar bhī jā.ūñ to kyā merā yaar zinda rahe
qadīm rāste rū-posh hote jaate haiñ
so terā kūcha tirī rahguzār zinda rahe
hamesha saaz bajātī rahe yuuñ hī tirī zulf
aur us ke saaz kā ek ek taar zinda rahe
ye ḳhaak zinda unhī āñsuoñ ke dam se hai
har ek dīda-e-āñsū-shi.ār zinda rahe
farār ruuh huī saarā naqd-e-jāñ le kar
ham apne jism se le kar udhār zinda rahe
maiñ tere ghar yuuñ hī be-qaid aatā jaatā rahūñ
tirī nazar meñ mirā e.atibār zinda rahe
hazār shukriya 'ehsās-jī' un āñkhoñ kā
ham un ke tiir kā ho kar shikār zinda rahe