Farhat Ehsas

sab mera aab-e-rawan kis ke ishaaron pe baha jata hai

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
sab mirā āb-e-ravāñ kis ke ishāroñ pe bahā jaatā hai
aur ik shahr mire donoñ kināroñ pe basā jaatā hai
mauj meñ aate hī lag jaatī hai hoñThoñ pe badan kī miTTī
aur is zā.iqa-e-ġhair se sab merā mazā jaatā hai
ahl-e-īmāñ idhar ārā.ish-e-masjid meñ lage haiñ aur udhar
apnā sāmān uThā.e hue masjid se ḳhudā jaatā hai
koī mujh jaisā hī roz aatā hai āñkhoñ meñ liye sabza-e-dasht
ik harā ḳhat dar-o-dīvār ko detā hai chalā jaatā hai
chaltī hai aa.ine meñ kitne zamānoñ kī havā-e-hairat
ek rañg aatā hai chehre pe to ik rañg uḌā jaatā hai
merī ik umr aur ik ahd kī tārīḳh raqam hai jis par
kaise rokūñ ki vo aañsū mirī āñkhoñ se girā jaatā hai
chaak karnā hī garebāñ kā sikhāyā hai junūñ ne mujh ko
maiñ ne sīkhā hī nahīñ kaise garebāñ ko siyā jaatā hai
'farhat-ehsās' ne dekhā hai falak par kahīñ ik ḳhitta-e-ḳhvāb
bech Daalī hai tamām arz-e-badan us ne sunā jaatā hai
Top Urdushayar.com