lage hue haiñ zamāne ke intizām meñ ham
kabhī ḳhavās meñ shāmil kabhī avaam meñ ham
pukārte haiñ butoñ ko ḳhudā ke naam se ham
gunāh karte haiñ aur kitne ehtimām meñ ham
phir us kā daḳhl bhī kyuuñ ho hamāre kāmoñ meñ
mudāḳhalat nahīñ karte ḳhudā ke kaam meñ ham
panāh māñgtī hai dhaar teġh-e-ma.anī kī
vo kaaT rakhte haiñ alfāz-e-be-niyām meñ ham
ab āftāb se mahtāb ban ga.e hoñge
nazar na ā.eñge lekin ġhubār-e-shām meñ ham
nigāh us kī mirī samt chehra aur taraf
so chuuk jaate haiñ andāza-e-salām meñ ham
mirī namāz kī raftār par nazar rakkho
rukū-o-sajde meñ haiñ aur na haiñ qayām meñ ham
sabhī samā.ateñ āñkhoñ ko khol kar rakheñ
chamak uTheñge achānak kisī kalām meñ ham
achānak aate haiñ girdāb jaise dariyā meñ
ik inqalāb kī āñkheñ liye avaam meñ ham
ḳhud apne jism kī be-hurmatī bhī karte rahe
fanā bhī hote rahe koshish-e-davām meñ ham
hameñ bhī daḳhl hai kuchh kār-gāh-e-ālam meñ
har ek kaam ke bāhar har ek kaam meñ ham
hamārā naam to hai qais-e-sākin-e-sahrā
pukāre jaate haiñ 'ehsās' urf-e-ām meñ ham