gar apne aap meñ insān baḌhtā jā rahā hai
to phir kyuuñ is qadar bohrān baḌhtā jā rahā hai
simaTtā jā rahā hai dā.era mālik makāñ kā
makāñ par qabza-e-mehmān baḌhtā jā rahā hai
mujhe lagtā hai sahrā kī taraf jaanā paḌegā
dar-o-dīvār kā ehsān baḌhtā jā rahā hai
bahut din ho ga.e royā na apne haal pe shahr
diloñ meñ ḳhitta-e-vīrān baḌhtā jā rahā hai
badan ḳhālī karo aur kashtī-e-jāñ ko bachāo
ḳhatarnākī kā ye sāmān baḌhtā jā rahā hai
numū karnā sunā hai jān-dāroñ kī sifat hai
magar ye shahr to be-jān baḌhtā jā rahā hai
na jaane kitne bhūkoñ kī kifālat ho rahī hai
havas-kārī kā dastar-ḳhvān baḌhtā jā rahā hai
miyāñ 'ehsās-jī' kuchh shā.irī bhī karte rahiye
ye maanā aap kā dīvān baḌhtā jā rahā hai