zindagī dard kā nisāb rahī
aur kabhī naġhmagī kā baab rahī
ḳhuun ālūd the sabhī chehre
maiñ magar surḳhī-e-gulāb rahī
niile paanī pe mun.akis jo hue
maiñ vo mahtāb-o-āftāb rahī
vo muḳhātab nahīñ huā mujh se
phir bhī maiñ markaz-e-ḳhitāb rahī
nafratoñ ke jahān meñ 'raziya'
maiñ mohabbat kā intisāb rahī
harf shaa.e na ho sake mere
vāris-e-sāhab-e-kitāb rahī