mire ḳheme ḳhasta-hāl meñ haiñ mire raste dhund ke jaal meñ haiñ
mujhe shaam huī hai jañgal meñ mire saare sitāre zavāl meñ haiñ
mujhe rañgoñ se koī shaġhl nahīñ mujhe ḳhushbū meñ koī daḳhl nahīñ
mire naam kā koī naḳhl nahīñ mire mausam ḳhāk-e-malāl meñ haiñ
ākāsh hai qadmoñ ke nīche dariyā kā paanī sar par hai
ik machhlī naav pe baiThī hai aur sab machhuvāre jaal meñ haiñ
ye duniyā akbar zulmoñ kī ham majbūrī kī anārkalī
ham dīvāroñ ke biich meñ haiñ ham narġha-e-jabr-o-jalāl meñ haiñ
mire dil ke nuur se baḌh ke nahīñ mirī jaañ ke surūr se baḌh ke nahīñ
jo maah o mehr falak par haiñ jo laal o guhar pātāl meñ haiñ
ik maġhrib aayā mashriq meñ mirī fauj ke TukḌe kar Daale
ab aadhe sipāhī junūb meñ haiñ aur aadhe sipāhī shumāl meñ haiñ
īmān kī chhāgal phuuT ga.ī āmāl kī lāThī TuuT ga.ī
ham aise gallabānoñ ke sab naaqe ḳhauf-e-qitāl meñ haiñ