Farhat Ehsas

donon ka la-shuur hai itna mila hua

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
donoñ kā lā-shu.ūr hai itnā milā huā
us ne jo pī sharāb to mujh ko nasha huā
kis kī hai dhuul mere tasavvuf ke paañv meñ
kyā hai ye ḳhānqāh ke dar par paḌā huā
paidā kiyā dobāra mujhe us ke jism ne
maiñ jo barā-e-vasl gayā thā marā huā
duniyā kī har namāz kā mujh ko milā savāb
masjid kā andarūn hai mujh par khulā huā
ye bhī mire charāġh-e-ḳhamoshī kā faiz hai
chāroñ taraf hai shor havā kā machā huā
us ne paḌhī namāz to maiñ ne sharāb pī
donoñ ko lutf ye hai barābar nasha huā
dekhā nahīñ kabhī na mulāqāt hī huī
'ehsās'-jī kā naam hai lekin sunā huā
Top Urdushayar.com