Farhat Ehsas

jism jab mahw-e-suKHan hon shab-e-KHamoshi se

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
jism jab mahv-e-suḳhan hoñ shab-e-ḳhāmoshī se
lafz to dete haiñ garmī-e-ham-āġhoshī se
saḳht ahkām-e-mohabbat haiñ ki daurān-e-visāl
lafz aage na baḌheñ sarhad-e-sargoshī se
nashsha baḌhtā hai hameñ der meñ mai-noshī ke ba.ad
us kī gunjān ḳhamoshī kī navā-noshī se
dekhne hoñ kabhī ma.anī bhī to phir ḳhāk-e-visāl
ek do lafz jalā detī hai ḳhāmoshī se
jhāḌā-pochhā thā abhī sub.h ko hī ḳhāna-e-yād
shaam tak aT gayā phir gard-e-farāmoshī se
shahr kā shor pahuñchtā hī nahīñ ab mujh tak
āfiyat meñ huuñ mohabbat kī girāñ-goshī se
aable paañv ke pā-posh hue āḳhir-kār
umr-bhar jaan bachā.ī thī jo pā-poshī se
log banvāne lage vaise hī zaḳhmoñ ke libās
tarz-e-nau chal ga.ī 'ehsās' kī ḳhush-poshī se
ātish-e-'farhat'-o-'asmā' ne jalā.e do charāġh
ek bīnish se jalā ek jalā yūshī se
Top Urdushayar.com