auroñ ne us galī se kyā kyā na kuchh ḳharīdā
ham kor-chashm us ke qadmoñ kī dhuul laa.e
dāman samā.atoñ kā phūloñ se bhar rahā huuñ
us se kaho ki apnī bātoñ meñ tuul laa.e
vahī-e-badan na utrī us kī hamāre dil par
ham sirf us kī gard-e-shān-e-nuzūl laa.e
ham ko agar ḳhushī hai to ye ki is jahāñ se
be-barg-o-bār guzre fasl-e-fuzūl laa.e
thī saḳht teġh-e-iḳhrāj us ke muqāble par
'ehsās' jaisā suufī ahl-e-shumūl laa.e