Farhat Ehsas

kabhi KHuda kabhi insan rok leta hai

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
kabhī ḳhudā kabhī insān rok letā hai
maiñ jab bhī jaatā huuñ darbān rok letā hai
baġhair chaak kiye ghar se maiñ agar niklūñ
to mujh ko merā garebān rok letā hai
maiñ jab bhī jism se izn-e-vidā.a māñgtā huuñ
vo kah ke mujh ko mirī jaan rok letā hai
bas ek jast meñ duniyā ke paar utar jā.ūñ
magar mujhe merā sāmān rok letā hai
bahāna chāhiye mujh ko bhī koī rukne kā
so vo ba-hīla-e-āsān rok letā hai
maiñ apne kufr se sharminda huuñ ki us kī taraf
mire qadam mirā īmān rok letā hai
farār ho ga.ī hotī kabhī kī ruuh mirī
bas ek jism kā ehsān rok letā hai
kabhī to ā.eñge 'ehsās-jī' kī bai.at meñ
hameñ yahī bas ik imkān rok letā hai
Top Urdushayar.com