Farhat Ehsas

purana zaKHm jise tajraba ziyaada hai

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
purānā zaḳhm jise tajraba ziyāda hai
ziyāda dikhtā nahīñ sochtā ziyāda hai
zarā ziyāda mohabbat bhī chāhiye ham ko
hamārā dil bhī to TuuTā huā ziyāda hai
tirā visāl zarūrat hai jism-o-jāñ kī to ho
tirā ḳhayāl mire kaam kā ziyāda hai
jo masjidoñ kī taraf is qadar bulāte haiñ
to kyā ye hai ki kahīñ kuchh ḳhudā ziyāda hai
amīr-e-shahr se ab kaun bāz-purs kare
ki us ke paas bahut sī qabā ziyāda hai
ye aa.ina mirā ā.īna-e-mohabbat hai
par us meñ aks kisī aur kā ziyāda hai
badan ke baaġh meñ sab raunaqeñ haiñ dil ke qarīb
isī navāh meñ bād-e-sabā ziyāda hai
hujūm-e-shiddat-e-'ehsās' baaḌh par hai aaj
karam bhī aaj ġhazal kā zarā ziyāda hai
Top Urdushayar.com