Farhat Ehsas

tera bhala ho tu jo samajhta hai mujhko ghair

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
terā bhalā ho tū jo samajhtā hai mujh ko ġhair
āñkhoñ pe āñkheñ rakh to ki kar luuñ maiñ apnī sair
ḳhud par hamāre jism kī chādar hī Daal le
bach aap apnī dhuup se tere badan kī ḳhair
ka.abe ke saare but mire siine meñ aa base
is āshiqī meñ saarā haram ho gayā hai dair
jiinā tire baġhair nahīñ aa sakā abhī
marnā to maiñ ne siikh liyā hai tire baġhair
tab dāḳhila milegā tujhe dasht-e-husn meñ
jab ahl-e-shahr kahne lageñ tujh ko ġhair ġhair
'ehsās-jī' ke halqa-e-ġhurbat meñ aa raho
karnī agar ho apne haqīqī vatan kī sair
Top Urdushayar.com