Farhat Ehsas

raqs-e-ilham kar raha hun

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
raqs-e-ilhām kar rahā huuñ
maiñ jism-e-kalām kar rahā huuñ
merī hai jo ḳhaas apnī miTTī
us ḳhaas ko aam kar rahā huuñ
ik mushkil saḳht aa paḌī hai
ik sub.h ko shaam kar rahā huuñ
duniyā se kaho zarā sā Thahre
is vaqt ārām kar rahā huuñ
chup chaap paḌā huā huuñ ghar meñ
aur shahr meñ naam kar rahā huuñ
miTTī ko palaT rahā huuñ apnī
puḳhta ko ḳhaam kar rahā huuñ
kyā kaam hai jānñā hai mujh ko
ik sirf ye kaam kar rahā huuñ
be-rabtī-e-jism-o-jāñ fuzūñ-tar
tauhīn-e-nizām kar rahā huuñ
ḳhushbū-e-ḳhudā lagā ke ḳhud par
maz.hab ko harām kar rahā huuñ
īmān ne kuchh sunī na merī
so kufr pe kaam kar rahā huuñ
allāh-miyāñ ke mashvare se
tark-e-islām kar rahā huuñ
ai zindābād farhat-ehsās
maiñ tujh ko salām kar rahā huuñ
Top Urdushayar.com