ham apne aap ko apne se kam bhī karte rahte haiñ
aur is nuqsān par bekār ġham bhī karte rahte haiñ
uThāte rahte haiñ din-rāt dīvār-e-vajūd apnī
magar dīvār ko thoḌā sā ḳham bhī karte rahte haiñ
ham us ke husn kā jaadū bhī chaḌhne dete haiñ ḳhud par
aur apne aap par kuchh paḌh ke dam bhī karte rahte haiñ
hameñ bhī shahr kī raunaq balā le jaatī hai aksar
magar ham shahr kī raunaq se ram bhī karte rahte haiñ
hameñ jab ḳhuub chaḌh jaatā hai nashsha apnī hastī kā
to us nashshe meñ ham raqs-e-adam bhī karte rahte haiñ
ye ā.īna hamāre rū-ba-rū jo kuchh bhī kartā hai
vahī sab aa.ine ke saath ham bhī karte rahte haiñ
kabhī jab farhat-ehsās apnā afsāna sunāte haiñ
use apnī haqīqat kā alam bhī karte rahte haiñ