Farhat Ehsas

bujh gae sare charagh-e-jism-o-jaan tab dil jala

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
bujh ga.e saare charāġh-e-jism-o-jāñ tab dil jalā
ḳhalq kī ḳhātir hamārā murshid-e-kāmil jalā
kuchh bhī dariyā ne madad apne paḌosī kī na kī
duur tak paanī hī paanī thā magar sāhil jalā
raushnī meñ ek alag sī raushnī shāmil huī
aaj lagtā hai ki phir koī sar-e-mahfil jalā
dekhte hī aag patthar ho gayā kāġhaz kā jism
vo jise āsān jalnā thā bahut mushkil jalā
ab ruḳh-e-lailā nahīñ hogā kabhī parda-nashīñ
shahr ke ātish-kade meñ parda-e-mahmil jalā
shahr meñ bhaḌkī huī thī vasl kī aag aur idhar
farhat-ehsās aap apne hijr meñ til til jalā
Top Urdushayar.com