Arshad Abdul Hamid

ghalat nahin hai dil-e-sulh-KHu jo bolta hai

Arshad Abdul Hamid

Tonk, Rajasthan, India

ġhalat nahīñ hai dil-e-sulh-ḳhū jo boltā hai
magar ye harf-e-baġhāvat lahū jo boltā hai
mire ujaḌne kī takmīl kab huī jānāñ
daraḳht-e-yād kī Tahnī pe tū jo boltā hai
sar-sukūt-e-adam kis ke hoñT hilte haiñ
koī to hai pas-e-dīvār-e-hū jo boltā hai
zamāne terī haqīqat samajh meñ aatī hai
havā kī thaap se ḳhālī subū jo boltā hai
nafāsatoñ kā qarīna hai terī ḳhāmoshī
magar ye jeb kā tār-e-rafū jo boltā hai
idhar ye kaan haiñ qahr-e-ḳhizāñ jo sunte haiñ
udhar vo peḌ hai sehr-e-numū jo boltā hai
nafas ke jaal meñ kab qaid ho sakā 'arshad'
vo ik parind-e-fanā kū-ba-kū jo boltā hai
Top Urdushayar.com