āḳhir us ke husn kī mushkil ko hal maiñ ne kiyā
ek nasrī nazm thī jis ko ġhazal maiñ ne kiyā
kyā balāġhat aa ga.ī us ke badan ke matn meñ
chand lafzoñ kā jo kuchh radd-o-badal maiñ ne kiyā
bā.is-e-tauhīn hai dil ke liye takrār-e-jism
aaj phir kaise karūñ vo sab jo kal maiñ ne kiyā
bazm ho bāzār ho saarī nigāheñ mujh pe haiñ
kyā un āñkhoñ ke ishāroñ par amal maiñ ne kiyā
jis jagah marnā thā mujh ko maiñ vahāñ jiitā rahā
ishq meñ har kaam be-mauqa-mahal maiñ ne kiyā