Farhat Ehsas

nahin dekhta din jise chashm-e-shab dekhti hai

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
nahīñ dekhtā din jise chashm-e-shab dekhtī hai
añdherā bhī ik dūsre rañg kī raushnī hai
purāne añdheroñ ko āñkhoñ meñ mahfūz rakhnā
na.ī raushnī kuchh yaqīnī nahīñ raushnī hai
chalī jaa.e bāzār meñ raushnī jab achānak
chamakne lage jo bas ik dam vahī aadmī hai
chimaT jaa.e jo jism se maut se lamha pahle
jise roknā ġhair-mumkin ho vo zindagī hai
usī kī badaulat to ghar apnā ghar lag rahā hai
jo chīzoñ kī bhar-mār meñ ik zarā sī kamī hai
phaTe-hāl aisā yahāñ koī aur ab kahāñ hai
zarā ġhaur se dekhnā farhat-ehsās hī hai
Top Urdushayar.com