badan aur ruuh meñ jhagḌā paḌā hai
ki hissa ishq meñ kis kā baḌā hai
hujūm-e-girya se huuñ dar-ba-dar maiñ
ki ghar meñ sar talak paanī khaḌā hai
bulātī hai mujhe dīvār-e-duniyā
jahāñ har jism īñToñ sā jaḌā hai
jhiñjhoḌā hai abhī kis zalzale ne
zamīñ se zindagī sā kyā jhaḌā hai
faqat āñkheñ hī āñkheñ rah ga.ī haiñ
ki saarā shahr miTTī meñ gaḌā hai
tumhārā aks hai yā aks-e-duniyā
tazabzub sā kuchh āñkhoñ meñ paḌā hai
maiñ dariyā jaañ bachātā phir rahā huuñ
koī sāhil mire pīchhe paḌā hai
zarā sī sharm bhī kar farhat-'ehsās'
badan terā ajab chiknā ghaḌā hai