Farhat Ehsas

meri koi tarif nahin hai main waqfon waqfon mein hun

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
merī koī tārīf nahīñ hai maiñ vaqfoñ vaqfoñ meñ huuñ
jaane kin lamhoñ meñ nahīñ huuñ jaane kin lamhoñ meñ huuñ
baaqī hissa paḌā huā hai jaane kis tārīkī meñ
maiñ bas utnā hī zinda huuñ jis had tak lafzoñ meñ huuñ
sāñsoñ kā aanā jaanā mere hone kī dalīl nahīñ
do sāñsoñ ke biich ḳhalā karne vaale lamhoñ meñ huuñ
muddat guzrī ek ibādat meñ fariyād guzārī thī
maiñ apnī hī zaat ke ghar meñ nā-jā.ez qabzoñ meñ huuñ
vo uslūb kahāñ se hāsil ho jo mujh ko nazm kare
razmiyye kī ek kathā chhoTī chhoTī bahroñ meñ huuñ
Top Urdushayar.com