Farhat Ehsas

umr be-wajh guzare bhi nahin ja sakte

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
umr be-vaj.h guzāre bhī nahīñ jā sakte
itne zinda haiñ ki maare bhī nahīñ jā sakte
haal ab ye hai ki dariyā meñ bhī lagtā nahīñ jī
aur kisī ek kināre bhī nahīñ jā sakte
us jagah jā ke vo baiThā hai bharī mahfil meñ
ab jahāñ mere ishāre bhī nahīñ jā sakte
zeb-tan itne kiye dil ne havas ke malbūs
ki shab-e-vasl utāre bhī nahīñ jā sakte
niiñd se us ko jagānā bhī zarūrī hai bahut
rāt-bhar us ko pukāre bhī nahīñ jā sakte
saarī shakloñ se pare hai vo hamārā mahbūb
so tasavvur ke sahāre bhī nahīñ jā sakte
jītne kā na koī shauq na taufīq hameñ
lekin is tarah to haare bhī nahīñ jā sakte
falak-e-ishq pe tā-der Thaharnā hai muhāl
is bulandī se utāre bhī nahīñ jā sakte
farhat-ehsās tujhe man.a hai jaanā us tak
kyā tire ḳhuun ke dhāre bhī nahīñ jā sakte
Top Urdushayar.com