asīr-e-ḳhāk bhī huuñ ḳhaak se rihā bhī huuñ maiñ
maiñ jī rahā huuñ to dekho marā paḌā bhī huuñ maiñ
maiñ ek lamha-e-hāzir bilā-siyāq-o-sabāq
aur apne lamha-e-hāzir kā hāfiza bhī huuñ maiñ
maiñ ek fard-e-saf-ārā ma.āshre ke ḳhilāf
aur ek fard meñ puurā muāshra bhī huuñ maiñ
nikal bhī aayā huuñ us kūcha-e-taġhāful se
aur us ke dar pe bahut sā paḌā huā bhī huuñ maiñ
maiñ apnī ḳhaak meñ lat-path paḌā huā huuñ abhī
magar na bhuul ki parvarda-e-havā bhī huuñ maiñ
kisī bhī lafz ke jaisā nahīñ hai lafz mirā
idhar-udhar se bahut sā kahā-sunā bhī huuñ maiñ
agarche Thiik se banda bhī maiñ nahīñ 'ehsās'
magar kabhī kabhī ik lamha-e-ḳhudā bhī huuñ maiñ