Farhat Ehsas

na-qabil-e-yaqin tha agarche shurua mein

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
nā-qābil-e-yaqīñ thā agarche shurūa meñ
sūraj magar ġhurūb huā thā tulūa meñ
mullā ko de diyā hai namāzoñ kā baaqī kaam
ḳhud ko lagā liyā hai ḳhushū-o-ḳhuzūa meñ
sirf ek chehra ek hī naam ek hī ḳhayāl
hotā hai sab ke saath yahī sab shurūa meñ
itne halāla-bāz agar ghaat meñ na hoñ
kyā aisā fāsla hai talāq-o-rujūa meñ
shāyad mirī namāz yahīñ ḳhatm ho ga.ī
ik umr ho ga.ī ki rukā huuñ rukūa meñ
mohmal sahī pa tāb-o-tavānā.ī dekhiye
us ain se jo aa.ī hai is āb-o-jūa meñ
urdu meñ to bas ek vuzū aur ik namāz
do do namāzeñ hotī haiñ arabī vuzūa meñ
asleñ tamām nāchtī gaatī guzar ga.iiñ
dekhā nahīñ kisī ne vafūr-e-furūa meñ
'ehsās' kyā hai ye 'zafar' 'iqbāl' kī tarah
tausī.a ain sher kī hadd-e-vuqūa meñ
Top Urdushayar.com