Farhat Ehsas

meri mohabbat mein sari duniya ko ek khilauna bana diya hai

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
mirī mohabbat meñ saarī duniyā ko ik khilaunā banā diyā hai
ye zindagī ban ga.ī hai maañ aur mujh ko bachcha banā diyā hai
jise kamī ho vo aa ke le jaa.e merī hastī se apnā hissa
mujhe ye lagtā hai us ne mujh ko bahut ziyāda banā diyā hai
use ḳhabar thī ki ham visāl aur hijr ik saath chāhte haiñ
to us ne aadhā ujaaḌ rakkhā hai aur aadhā banā diyā hai
maiñ jāntā huuñ magar mujhe us fareb meñ lutf aa rahā hai
sarāb hai vo jise mirī tishnagī ne dariyā banā diyā hai
tirī mohabbat kī ḳhair jis ne jalā ke ḳhāshāk-e-jism-o-jāñ ko
vo aag bhaḌkā.ī jis ne patthar ko ābgīna banā diyā hai
to aur kyā chāhiye tumheñ ik zamīn de dī kitāb jaisī
aur āsmāñ par kalām kartā huā sitārā banā diyā hai
vo pīr-e-mai-ḳhāna-e-falak in dinoñ bahut mehrbāñ hai mujh par
to ḳhud surāhī banā huā hai mujhe piyāla banā diyā hai
Top Urdushayar.com