zamīñ se arsh talak silsila hamārā bhī thā
ki chashm-e-ḳhāk meñ ik ḳhvāb sā hamārā bhī thā
tū apne ghar kī taraf moḌ le gayā hai jise
zamīñ se pūchh ki ye rāsta hamārā bhī thā
ye sab charāġh jalā.e hue hamāre bhī haiñ
balā-e-shab kā kabhī sāmnā hamārā bhī thā
hamāre paañv bhī paḌte na the zamīñ pe kabhī
kabhī kahīñ yahī taḳht-e-havā hamārā bhī thā
ye haiñ jo baaġh meñ bos-o-kanār ke manzar
ga.e dinoñ meñ yahī mashġhala hamārā bhī thā
kisī kī zulf meñ dekhā to ham ko yaad aayā
ki ek phuul usī rañg kā hamārā bhī thā
yahī sharāb kabhī ham bhī ḳhuub piite the
usī nashe meñ sar uḌtā huā hamārā bhī thā
zamīn hiltī thī yuuñ hī hamāre aane se bhī
isī tarah kā kabhī zalzala hamārā bhī thā
jo ab tumhāre tasarruf meñ hai miyāñ-'ehsās'
kabhī ye arsa-e-arz-o-samāñ hamārā bhī thā