mire subūt bahe jā rahe haiñ paanī meñ
kise gavāh banā.ūñ sarā-e-fānī meñ
jo āñ.suoñ meñ nahāte rahe so paak rahe
namāz varna kise mil sakī javānī meñ
bhaḌak uThe haiñ phir ā.ankhoñ meñ āñ.suoñ ke charāġh
phir aaj aag lagā dī ga.ī hai paanī meñ
hamīñ the aaise kahāñ ke ki apne ghar jaate
baḌe-baḌoñ ne guzārī hai be-makānī meñ
ye be-kanār badan kaun paar kar paayā
bahe chale ga.e sab log is ravānī meñ
visāl o hijr ki ek ik charāġh the donoñ
siyāh ho ke rahe shab ke be-karānī meñ
bas ek lams ki jal jaa.eñ sab ḳhas-o-ḳhāshāk
ise visāl bhī kahte haiñ ḳhush-bayānī meñ
kahānī ḳhatm huī tab mujhe ḳhayāl aayā
tire sivā bhī to kirdār the kahānī meñ
na chāhiye mujhe vo āsmāñ jo merā na ho
maiñ ḳhush huuñ apnī hī miTTī kī āsmānī meñ