Farhat Ehsas

kabhi hanste nahin kabhi rote nahin kabhi koi gunah nahin karte

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
kabhī hañste nahīñ kabhī rote nahīñ kabhī koī gunāh nahīñ karte
hameñ sub.h kahāñ se mile ki kabhī koī raat siyāh nahīñ karte
hāthoñ se uThāte haiñ jo makāñ āñkhoñ se girāte rahte haiñ
sahrāoñ ke rahne vaale ham shahroñ se nibāh nahīñ karte
bekār sī miTTī kā ik Dher bane baiThe rahte haiñ ham
kabhī ḳhaak uḌāte nahīñ apnī kabhī dasht kī raah nahīñ karte
jī meñ ho to dar par rahte haiñ varna āvāra phirte haiñ
ham ishq us se karte haiñ magar koī bā-tanḳhvāh nahīñ karte
ye terā merā jhagḌā hai duniyā ko biich meñ kyuuñ Dāleñ
ghar ke andar kī bātoñ par ġhairoñ ko gavāh nahīñ karte
Top Urdushayar.com